Hindi Inscript Keyboard: Full Chart, Matra, Half Letters & Practice Tips

Updated: 2026-10-11 · 7 min read

Inscript Bharat sarkar dwara standard kiya gaya Hindi keyboard layout hai aur Windows, Mac, Linux sab me built-in milta hai (Windows me iska naam “Hindi Traditional” hai). Yeh Unicode (Mangal) font ke saath kaam karta hai, isliye CPCT, court aur kai state exams me allowed hai.

Layout ka logic – yaad karna aasaan

Full Inscript chart

RowKeys → Normal (Shift)
Number row3 → (्र) · 4 → (र्) · 5 → (ज्ञ) · 6 → (त्र) · 7 → (क्ष) · 8 → (श्र) · = → ृ (ऋ) · - → - (ः)
Top rowq ौ (औ) · w ै (ऐ) · e ा (आ) · r ी (ई) · t ू (ऊ) · y ब (भ) · u ह (ङ) · i ग (घ) · o द (ध) · p ज (झ) · [ ड (ढ) · ] ़ (ञ) · \ ॉ (ऑ)
Home rowa ो (ओ) · s े (ए) · d ् (अ) · f ि (इ) · g ु (उ) · h प (फ) · j र (ऱ) · k क (ख) · l त (थ) · ; च (छ) · ' ट (ठ)
Bottom rowz ॆ (ऎ) · x ं (ँ) · c म (ण) · v न · b व · n ल · m स (श) · , , (ष) · . . (।) · / य

Hamare Hindi typing test me yahi chart on-screen keyboard par dikhta hai aur agla key highlight hota hai.

Matra kaise lagaye?

Unicode me pehle vyanjan, phir matra type karte hain: k + e = का, k + r = की. Chhoti i (ि) bhi baad me hi type hoti hai: k + f = कि – screen par woh apne aap pehle dikh jaati hai. (Kruti Dev me ulta tha – yahi sabse bada fark hai.)

Half letter (आधा अक्षर) – halant

Halant d (्) se aadha akshar banta hai: m d l = स्त, k d k = क्क, v d o = न्द. Example: विद्यालय = व ि द ् य ा ल य.

Special combinations

Practice plan

  1. Hafta 1: Hindi lesson 1 & 2 (home row + top row matras)
  2. Hafta 2: Lesson 3 & 4, aur Easy level Hindi tests
  3. Hafta 3 se: Exam style passages, 10–15 minute tests
Kya Inscript seekhne ke liye Hindi keyboard sticker chahiye?

Zaroori nahi. Hamare test me on-screen keyboard chart hai. 2–3 hafte baad layout yaad ho jaata hai.

Windows me Inscript kaise on kare?

Settings → Time & Language → Language → Add Hindi → Keyboard: “Hindi Traditional” add karein. Win + Space se English/Hindi switch hota hai. TypingTez par yeh zaroori nahi – built-in Inscript mode English keyboard par hi kaam karta hai.